Chanda re chori bazari do naino ki
pehle thi aadat jo hat gayi pyaar ki jo teri meri
umar aayi thi wo ghat gayi chanda re
duniya ki to fikar kahan thi
teri bhi ab chinta ghat gayi chanda re
tu bhi tu hai main bhi main hoon
duniya saari dekh ulat gayi
tu na jaane main na jaanu
kaise saari baat palat gayi
ghatni hi thi ye bhi ghatna
ghatte ghatte lo ye ghat gayi
aa chori bazari do naino ki
pehle thi aadat jo hat gayi
tareef teri karna tujhe khone se darna
haan bhool gaya ab tujh pe
din mein chaar dafa marna
tareef teri karna tujhe khone se darna
haan bhool gaya ab tujh pe
din mein chaar dafa marna
pyaar khumari utri saari
baaton ki badli bhi chhat gayi
hum se main pe aaye aise
mujh ko to main hi main kat gayi
ek hue the do se dono
dono ki ab raahe kat gayi
chanda re chanda re
ab koi fikar nahi ghum ka bhi zikar nahi
haan hota hoon mein jis raste pe
aaye khushi wahin
azaad hoon main tujh se
azaad hai tu mujh se haan jo jee chaahe
jaise chaahe kar le raj yahin
laaj sharm ki chhoti moti
jo thi dori wo bhi kat gayi
chauk chaubaare gali molhalle
khol ke main saare ghoonghat gayi
tu na badli main na badla
dilli sari dekh badal gayi
ek minute mein duniya daari ki
main saari samaj nikal gai
haan rang biranga paani phenke
seedhi saadi kudi bigad gayi
dekh ke mujh ko hasta gaata
sadh gayi ye duniya sadh gayi
chanda re chanda re
chanda re chanda re
Search on this blog
Friday, June 26, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment